December 17, 2011


Shiva Chalisa


Lord Shiva

Shiva Chalisa is a "forty verse" prayer. Verses are recited or chanted by groups. The acts and deeds of Shiva are recalled in these verses to aid the devotee to meditate on virtuous and noble qualities.


ll Doha ll
Jai Ganesh Girija Suvan, Mangal Mool Sujaan l l 
Kahat Ayodhyadas Tum, Dehu Abhaya Vardan l

ll Chaupai ll

Jai Girijapati Deen Dayala, Sada Karat Santan Pratipala
Bhal Chandrama Sohati Neeke, Kanan Kundal Nag Phani Ke

Ang Gaur Shiv Ganga Bahaye, Mundamal Tan Kshar Lagaye
Vastra Khaal Baghambar Sohe, Chhavi Ko Dekh Nag Muni Mohe

Maina Matu Ki Priya Dulari, Bam Ang Sohat Chhavi Pyari
Kar Trishul Sohat Chhavi Bhari, Karat Sada Shatrun Shaykari

Nandi Ganesh Sohe Tanha Kaise, Sagar Madhya Kamal Hain Jaise
Kartik Shyam Aur Gana Raau, Ya Chhavi Ko Kahi Jaat Na Kaau

Devan Jabhee Jaaye Pukara,Tabahin Dukh Prabhu Ap Nivaara
Keen Upadrava Taarak Bhari, Devan Sab Mili Tumhee Pukari

Turat Shadanan Ap Pathayo, Luv Nimesh Mahi Mar Girayo
Ap Jallandhar Asur Sanhara, Suyash Tumhar Vidit Sansara

Tripurasur Sang Yuddha Machayi, Sabahin Kripa Kari Leen Bachayi
Keeya Taphin Bhagirath Bhari, Purahi Pratigya Tasu Purari

Darpa Chhod Ganga Tab Ayee, Sewak Astuti Karat Sadahee
Ved Naam Mahima Tav Gayaee, Akath Anadi Bhed Nahin Payee

Pragati Udadhi Manthan Mein Jwala, Jare Surasur Bhaye Vihaala
Mahadeva Tab Kari Sahayee, Neelkantha Tav Nam Dharayee

Poojan Ramchandra Jab Keenha, Lanka Jeet Vibhishan Deenha
Sahas Kamal me ho rahe dhaari, Keenha Pareeksha Tabahi Purari

Ek Kamal Prabhu Rakheu johee, Kamal Nayan Poojan Chahin Soyee
Kathin Bhakti Dekhi Prabhu Shankar, Bhaye Prasanna Deya Icchhit Var

Jai Jai Jai Ananta Avinasi, Karat Kripa Sab Ke Ghatvasi
Dushta Sakal Mohi Nitya Sataven, Bhramita Rahe Mohe Chain Na Aave

Trahi Trahi Main Nath Pukaro, Yeh Avasar Mohi Ani Ubaro
Lai Trishool Shatrun Ko Maro, Sankat Se Mohi Ani Ubaro

Mata Pita Bhrata Sab Hoi, Sankat Mein Poochat Nahi Koi
Swami Ek Hai Aas Tumhari, Aaye Harahu Mam Sankat Bhaari

Dhan Nirdhan Kon Det Sadaee, Arat Jan Ki Peer Mitaee
Astuti Kehi Vidhi Karahu Tumhari, Shamhu Naath Ab Chook Hamari

Shanker Ho Sankat Ke Nashan, Vighna Vinashan Mangal Kaaran
Yogi Yati Muni Dhyan Lagave, Sharad Narad Sheesh Navave

Namo Namo Jai Namah Shivaye, Sur Brahmadik Par Na Paaye
Jo Yeh Path Kare Man Layee, Tapar Hot Hain Shambu Sahayee

Riniya Jo Koi Ho Adhikaari, Paath Kare So Paavanhaari
Putra Heen Ichha Kar Koi, Nishchaya Shiv Prasad Tehi Hoi

Pandit Triyodashi Ko Lave, Dhyan Poorvak Hom Karave
Triyodashi Vrata Kare Hamesha, Tan Nahi Take Rahe Kalesha

Dhoop Deep Naivedya Chadhavai, Shanker Sanmukha Path Karavahi
Janam Janam Ki Pap Nasave, Anta Vaas Shivpur Men Paave

Hey Shankar Hai Aas Tumhari, Dukh Peera Ab Harahu Hamari

ll Doha ll 
Nit Nem Kar Praatha Hee ,Paath Karo Chaalis l 
Tum Meri Manokaamna, Puran Karo Jagdeesh ll 
Magsar Chhati Hemant Ritu, Sanvat Chausadh Jaan l 
Astuti Chaalisa Shivhi, Puran Keen Kalyaan ll

No comments:

Post a Comment